Thursday, 18 April 2013

Oye Nai Oye :P Hahahaha

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


:)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Heart 4 u :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Hahahaha :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Lol Editing Difference :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Hmmmm :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Lol Beef Murghi B Hoti Hai Kya Friends ?? :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Ary Tum Free Ma He Ly Lo Bas Ly Lo :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Actual Balance Of Life Lol Lmao :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Ist It Like That Girls lol :v

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Qasam se :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Naam Do Friends :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Hahahaha ;) Best Prank :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Did U Do This Ever :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


LOL :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                   =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======



Will You Marry Me Plz? :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======



Wednesday, 17 April 2013

Which One U Select??? :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Teacher Shocked Students Rocked :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Is it like That??? :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


O YA YA ! :D

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


How Cute :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Lol Lmao :D Hat jao

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Who wants to Hug YUh :P

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======


Guess Guys :)

                                             Like for funniest and amazing videos ever!!!
                                  =======> http://www.facebook.com/fuaav <=======




Wednesday, 10 April 2013

FACIAL MARKS


Freckles Treatment

Freckles may be described as flat, round, dark coloured spots that range in size from about 2mm to 4mm. Freckles could be the result of pigment precipitation in one particular place, as generally the skin, surrounded by the spot is lighter in colour. Freckles are sensitive to the UV rays and hence appear more prominent during or after exposure to sunlight. Here are some natural remedies that will help you deal with freckles. Apply sour cream on your face. Gently wipe it off with a soft tissue and top it up with a moisturizer. Lemon juice is a tried and tested remedy for treating freckles. Apply lemon juice with your fingers on the affected area: it bleaches the dark spots.
Problem is Facial marks on my face. What should I do? First of all don’t try everything on your face follow all suggestion. Blend together masur dal and almonds make paste. Use it daily at least 10 to 15 days; your problem will be solved. Read chehre ke daag, chehre ki hifazat, face care tips in urdu, face care for women, beauty tips in urdu.

Chehre ke Daag:

Chehre aur gallon par sufaid ratubat wale dane nikalte hain aur kafi taadad mein hote hain, kuch arse baad ghaib ho jate hain lekin thore dinon ke baad phir nikal aate hain, pehle rung gora aur saaf tha, mein medical ke shobe se wabistah hon.

Aap ne jo amal kia hai, is ko waqai tor par chor dein, ab is amal ko jari rakhain. Raat ko sone se pehle taza balayi





lagane se pehle petroleum geli raat bhar lagi rehne dein phir subha ko achi tarah dho lein. Dusra maslah is se saaf zahir hota hai keh yeh infection hai.

Rung saaf karne ki tarkeeb batayain?
Koi bhi rung gora karne wali cream sara din nahi lagani chahiye.
Chehre par surkh rung key baal hain, inhain kaise khatam karun?

Maslah aap ka jo hai is ka hal yeh hai keh aap in ke chehre ki hot wax ya cold wax kara lein aur agar mustaqil hal chahte hain to electrolysis kara lein.



Mere chehre par danon ke gehre daagh hain, in ka hal bata dein?
Sab se pehle to har cheez kisi ke mashware se chehre par nahi lagana chahiye aur agar koi cheez test bhi karni hai to hamesha kaan ke niche istemaal karein badam ko pees kar is mein thora sa besan aur chand qatre lemon aur thori si masur ki daal mila kar is ka paste bana lein aur phir rozanah chehre par lagayain, das se pandrah din is ka rozanah istemaal karein, aap ka maslah kisi had tak hal ho jaye ga.
Mara maslah yeh hai keh meri naak buhat moti aur bari hai sab mujhe daikh kar hanste hain koi aisa tareeqa batayain jis se meri naak patli aur choti ho jaye.
Hum jis dor mein paida huye hain is mein medical science ne buhat taraqqi karli hai aur khas tor par surgery ne. Aap ke maslah ka hal plastic surgeon yaqinan kar sakte hain waise yeh tareeqah elaaj mehnga hai zarur hai magar is tarah ke masle ka hal in ke paas mojud hai. Aap kisi bhi bare shehar mein jahan plastic surgeon mojud hon in se raabtah karein.
Meri rungut sanoli hai jis ki wajah se mein buhat hassas ho gayi hon. First year ki student hon meri umer 17 saal hai mein ne pehle kabhi munh par kuch nahi lagaya hai sanoli rungut ki wajah se buhat pareshan rehti hon. Mere khat ka jawab zarur dijyega.
Saanoli rungut ki wajh se is qadar hassas hone wali baat samajh mein nahi aati hai kiun keh sanola rung to khubsurati aur kashish ki alamaat samjha jata hai lekin is ke liye zaruri hai ke aap apni jild sehat mand rakhein aur is ki hefazat is ko saaf suthra rakh kar karein. Sehat mand jild ke liye apni ghiza mein doodh, sabziyan, phal aur pani ka istemaal wafir rakhein. Safayi ke liye facial wash le lein aur normal rutien se hat kar din mein aik dafa is ko istemaal karein. Pehle sabun se hath dhoyain phir chehra ko sadah pani se dho lein. Jelly saaf cotton ke oper facial wash laga kar buhat halke hath se circle ki shakal mein chehrah aur neck par masaj karein aur phir ise dho lein. 

TIPS FOR FAIRNESS

Every woman wants to that their color will be fair and looks beauty full. But how to be possible here are some benefits tips for fairness. You Can find in this page beauty tips for skin in Urdu, beauty tips for fairness, how to keep your face beautiful and jild ki hifazat read in Urdu.

Rung Gora Karne ka Tarika:

Har aurat ki khuwahish hoti hai keh is ka rung gora ho waise to har qisam ki rungat par make up ho jata hai aur agar dhang se kia jaya to kali jild bilkul saaf-o-shaffaf nazar aati hai. Aaj aap ko rung gora karne ke chand tareeqe batate hain jin se aap zarur faidah uthayain.
1-Milk mein badam pees kar malne se jild(skin) ki rungut saaf ho jati hai.

2-Pani mein lemon ka aurq aur namak mila kar ghusal (bath) karne se jild ka rung nikhar jata hai.  
3-Kaghzi lemon ke tukre jin mein rus nichor lia gia ho chehre(face) par malein zarur faidah hoga.

4-Milk mein jo aur gehon ka aata mila kar ubtan banaiye aur phir ise apne chehre par malye chand dinon mein hi farq mehsus ho ga.

5-Tazah garam doodh se munh done se bhi rungat saaf ho jata hai.

6-Thori si balayi mein chand qatre lemon ke daal kar chehre par malein jild hi asrat zahir ho.

7-Akhrot ke tail mein karwe badam pees kar badan par malne se jild saaf ho jati hai.

8-Do chamcha doodh mein aik chamcha pisa namak milayain aur ise sone ke waqt chere par malein. Subha thande pani se dho lein aap dekhein gi keh aap ke chehre par chamak aaye gi.

9-Glasreen mein lemon ka rus mila kar rakh lein. Har raat monh dho kar lemon mile glasreen ki monh par malish karein. Is se chehre nam ho ta hai rung nikharta hai chere ki rungut nikharne ke liye yeh aik behtareen lotion hai. chehre ki rungut nikharne ke liye jadu ka asar rakhta hian.

10-Chehre par lemon ke chilke ko pees kar arq-e-ghulab mein mila kar chehre par malne se chehre ki rung saaf hota hai. mahase chaiyan aur phunsiyan waghaira bhi chehre par hon to is ke malne se faida hota hai.

HOW TO IMPROVE MY FACE COMPLEXION PART 2



Mujhe apne chehre ki jild ki mukammal dekh bhal aur safayi suthrayi ke liye mashwara chahiye. Mere chehre ki jild garmiyon mein chikni aur sardiyon mein sirf gallon par se maamuli khushk ho jati hai meri jild naak ke donon taraf gallon par se kuch ubhari ubhri hai aur masamat bhi khule hain is ke elawa meri thori aur gallon par kil bhi ho gaye hain yeh keel waise to ban rehte hain lekin agar chehre ki safayi na karon to khas tor par yeh dane ban jate hain. Jin mein kharish bhi hoti hai. phir takleef ke baad pak kar keel ban jate hain aur yahan nishan par jate hain in ke elawah waise to mere chehre par mahase nahi nikalte lekin ghiza mein tabdili se agar aik aadh nikal aaye to wahan dhabbah par jata hai is ke elawa meri neend gehri aur pur sakun nahi hoti neend ke liye to mein elaaj kar wa rahi hon. Dar asal mujhe madey ki kharabi ki wajah se neend nahi aati lekin masla yeh hai keh neend ki kharabi se meri aankhon ke niche jhurriyan namudar ho gayi hain ab yeh jhurriyan mustaqil rehne lagi hain. Aap se yeh puchna hai keh in jhurryon ke liye mein kia istemaal karon meherbani kar ke agar gharilu noskhe aur totkey batayain to behtar hoga kiun keh meri jild hassas bhi buhat hai. lekin agar kisi product ke mutalliq likhein to naam bhi zarur likhain ehsan hoga.
Aap ki tamam kharabiyon ka medey se buhat talluq hai aap medey ka elaaj kisi ache hakeem ya doctor se karwayin insha-Allah sab theek ho jaye ga taiz aur chat pate khanon se parhaiz karein. Halki ghiza istemal karein. Danon ko hath bilkul mat lagayain. Aur danon par Retin-A-Gel istemaal karein. Munh par taiz thande pani se chapke lagayain. Jhurriyon ke liye doodh ki balayi halke halke aankhon ke niche masaj karein. Neend puri hone ki surat mein yah jhurriyan khatam bhi ho sakti hain is liye raat ko chehal qadmi kia karein aur thande pani se raat ko naha kar leta karein is ke sath hi Qurani aayat ka wird shoro kar dein isi doran aap ko neend aajaye gi.


HOW TO IMPROVE MY FACE COMPLEXION

My face complexion is dark. How to improve my face complexion? Wish of faire color; don’t try all formula on your face because it may be creating problem for you. Dark compexion keep own beauty and attraction. Take care your skin and cleansing your skin in routine. Take a balance diet. You look very beautiful. Read about face fair tips urdu, keel mahasay, acne and pimples in Urdu

Face Care Tips Urdu:

Mera masla ye hai keh mera rung sanula hai, koi noskha ya tarkeeb bataiye keh rung gora ho jaye .
Gora hone ka shoq aur har milne wala noskha apne chehre par mat aazmaiye kiun keh is mein noqsaan ka andesha ziada hai sanola rung apni khubsurti aur kashish rakhta hai. jild ki hefazat kijye aur normal cleasing ko maamul bana lein. Ghiza par tawajjah dein.


Mein Metric ki talbah hon mera maslah yeh hai keh meri jild chikni hai aur is par buhat sare dane nikalte hain aur in danon mein se peep aur ganda pani nikalta hai is ke baad yeh bud numa daagh chor jate hain jis ki wajah se chehrah kala aur bud numa lagta hai yeh dane do qisam ke hote hain. Pehli qisam peep aur ganda pani wale. Dusri qasam mein dane khushk aur sakht hote hain is ke baad yeh keel ban jate hain jo keh naak par ziadah hote hain yahan mein batati chalon keh yeh maday ka bhi maslah hai jo keh shayad ziadah chaye (tea) pine se hai. Meharbani farma kar mere masle ka hal tahreer karein nawazish hogi.
jaisa keh peep aur gande pani wale danon ki aap ne wazahat ki hai yeh infected Acne(keel mahasay) hai behtar yah hoga keh aap mahir-e-amraz jild se ruju karein kiun keh is ke liye dawa khani hogi aur jis tarah aap ko doctor mashwarah de is par amal karein. Nishan chorne ki wajah cherah ki safayi na rakhna aur danon par hath aur nakhunon ka lagna hai aur is ke liye zaruri hai keh aise tissue paper safayi ke liye istemaal karein jis mein perfume nahi hota balkeh ziadh behtar hai keh aap malmal ka saaf kapra istemaal karein. Aap ne yeh bhi likha hai keh mere maday ka bhi maslah hai aur aap ne yeh is ki bilkul wazahat nahi ki hai keh kia maslah hai aur agar yeh ziadah jaye pine se hai jaisa keh aap ne tahreer kia hai to phir chaye kiun kam nahi kar detin aur baron ke kehne par aap tazah sabzi, phal, doodh, gosht waghairah kiun nahi istemaal kar rahain chehre ke liye waqti tor par aap neem ke patte pees kar is ka mahlul bana lein aur din mein jitni baar ho sake cotton ke sath is ka chehre par lagayain is tarah aap ki safayi ka maslah bhi hal ho jaye ga.


FACIAL BEAUTY & GLOW


If show round circle on the face then apply light green color. Mix corn flour, milk and lemon juice make paste and apply on face. Face will be clean. Drink olive oil with milk face will be glow. Mix lemon, sugar with water and drink a glass daily it will help face glow. Take a balanced diet to keep the skin tight. Vitamin B, C, and E make use of. Take exercise, do walk. Take these action your skin will be tight. Read facial tips, beautiful faces, face care tips in urdu, facial benefits and glowing skin tips in urdu.


Facial Beauty and Glow 
  • Gardan aur sine par murjhayi khal ke liye khare ke tukre le kar rakein. is se jild taza ho jaye gi.
  • Doodh mein zaitun ka tail daal kar pine se chehre par nikhar aajata hai.
  • Khalis shehad aur doodh ka mixture bana kar chehre par malein. jild saaf ho jaye gi.
  • Chehre par pisi hui jayi malne se maili se maili jild bhi saaf hojati hai.
  • Chehre par black circle namudar ho jayein to in par halka sabz rung lagayain.
  • Chehre par phunsi ho to baraf ka aik tukra lapeit kar phunsi par lagain.
  • Shukkar ke sharbat mein lemon ka ras mila kar rozanah pine se rung saaf ho jata hai.
  • Corn flour, doodh aur lemon ka ras mix kar ke paste bana lein. Is paste ko chehre par lagane se chehre saaf ho jata hai.
Note: Jild ko tight rakhne ke liye Balance diet ke sath sath vitamine B, C aur vitamin E ka istemaal rakhain. Chehal qadmi karein. Ho sake to kisi qualified youga seekh lein jo aap ghar par kar sakain. Chehre ke muscle ki bhi warzish karein. In sab cheezon ke oper amal karne se aap ki skin behtar ho jaye gi.

TIPS FOR BEAUTY OF LIPS PART 2





10-Arq-e-ghulab se hont dhone se hont surkh hote hain.

11-Olive oil aur almond oil se yani honton par in roghanon ka halka sa masaj karne se honton mein dilkash aati hai.

12-Honton par eggs ki zardi ka lap karne se hont bare dil kash hote hain.

13-Honton par shehad ka mask karne se hont khubsurat hote hain.

14-Aur honton mein dil kasha paida karne ka aik nadir noskhah darj zel hai.

Ande(eggs) ½ zardi
Olive oil 20 drops
Cucumber juice 20 drops
Arq-e-gulab 20 drops
In tamam cheezon ko shishe ki piali mein daal kar khub phaitein yahan tak keh yakjan ho jayain phir in ko panch minute tak set hone dein.

15-Hont arq-e-gulab se dho kar khushk kar lein aur phir honton par mandarjah bala ashya key ameze ka halka halka masaj karein is key bad 15 minute honton ko aise hi chor dein. Is arse mein koi cheez na khayain piyein. Phir neem garam pani se honton ko dho dalein.

1 weak bala naga aisa karne se hont gulab ki pankhariyan ho jate hain. Honton par doodh ki balayi bhi in mein dil kasha-o-dilfarebi paida karti hai.


TIPS FOR BEATUTY OF LIPS

Cold weather causes problems for the lips. The beauty of the lips cold air drains. Most of women are disturbed in this season for lips care. If women pay attention to then it can be saved. 

Lips get affected by weather and environmental changes. They can chap, dry or crack. Over exposure to the sun and the dry, cold winds can cause dry lips. Do not lick your lips when they are chapped or dry. This makes you feel better only for a short time. Use unflavoured lip balm. Avoid flavoured tooth paste. Drink lots of water and rub cucumber slices on your lips. Drinking excessive tea and coffee causes darkening of lips. Some lipsticks have harmful chemicals which may have an adverse effect. Almond oil is effective to reduce staining on lips. Mix almond of cream with a small amount of cream and apply onto the lips as moisturizer. Apply purified butter onto the lips and leave it for night.

Here is lip care, beauty tips for lips in hindi, lips care tips in urdu, honton ki hifazat, tips for beautiful lips, roghane badam, roghane zaitoon, lip care home remedies in following describe in detail. Here you can find beauty tips for lips in Urdu.

Honton ki Hifazat:

kuch khawateen ke lips lipstick lagane ke baad intehayi khusk ho jate hain kuch khawateen ke lips par qudrati (naturally) tor par khushki hoti hai in ke honton par se chilke se utarte hain aise honton par lipstick lagane se pehle halka sa roghan badam honton par lagayain. Phir lipstick lagayain to is qadar khushki ka ahsaas na hoga.

1-Lips ki khushki dur karne ke liye rozana in par roghan badam malna faida mand hai. chand hi roz mein khushki dur ho jaye gi.

Zafran khane se hont khubsurat hote hain, chukandar honton ki qudrati lipstick hai.

2-Baaz khawateen ke hont bare mote hote hain in ko
patla karne ke liye mazu phal ka safuf lep karna chahiye lap banane ki tarkeeb yeh hai keh mazu phal kut pees kar nehayat bareek kar lein. Aur is mein lemon ka rus daal kar lep bana lein. Jo honton par lagane se thehar sake. Chuqandar honton ki surkhi ke liye behtareen cheez hai. qudarati lipstick hai is ke liye aik mufeed aur be zarar formula darj zeel hai

3-Chukandar ko cheel kar boil kar lein aur agar boil na karna chahain to na boil karein ab chukandar ke qatlon ko honton par malein qudarati rung aaye ga aur yeh is liye bhi mufeed hai keh naqis lipstick lagane se jo hont phat jayain ya in par jhurriyan par jayain who theek ho jate hain.

4-Lipstick lagana se pehle honton par badam roghan ya cold cream lagayain phir tissue ko num kar ke hoton mein le kar dabayain. Ab tissue se hont khushk karein is ke baad lipstick lagayain. Is se honton par lagi lipstick aik ajeeb si dilkash chamak aajati hai.
5-Honton ke make up ke liye mukhtalif shades ki lip stick istemaal ki jati hain baaz khawateen jab make up karti hain to lip stick lagane se in ke honton ke ird gird ka sara make up utar jata hai yahan tak ke thori ka bhi in ko maalum hona chahiye keh lip stick sirf honton par lagayi jati hai. who honton ko tissue se khushk kar ke lip stick lagayain.
6-Honton ko dilkash banana ke chehre ki tarah kayi qudrati tareeqe bhi hain. Jo behar haal chemical tareeqon se buhat behtar hain. Honton ko khushnuma aur dil kash banane ke liye darj zeel fruits istemaal karein. Apple, cheery, strawberry, sangtarah, malta, graph fruit, Aalu Bokhara, Injeer, khubani, nashpati

7-Aaj kal khawateen make up ko tar-o-taza shaguftah rakhne ke liye face glamour istemaal karti hain. Jabkeh olive oil se barh kar koi qudarti face glamour nahi hai.
8-Tamatar, palak ka sag, chukandar, gajar(carrot) aur gajaron ka juice to lajawab hai, salad, walaiti lal muliyan, khira, kakri tarbuz.

9-zaafran khane se hont khubsurat hote hain. 


Almond and Olive Oil Benefits

There are a lot of benefit of almond oil and olive oil. Olive oil is the best solution for chapped lips. It does wonders to your lips. You can make an excellent night cream by using 1/2 cup olive oil, 1/4 cup vinegar and 1/4 cup water. This helps to lighten your skin, kill bacteria and makes your skin smooth and clear. Soften your feet by applying olive oil on your feet. More benifits in bellow.

Almond and Olive Oil Benefits

Olive and Almond Oil:

Qudrat kamlah ne roghan badam ko be shumar jamalyati fawaid khawas ata kiye hain afzaish husn ke liye qudrat ka ata kardah yeh besh baha tuhfah hai jahan tak afzaish husn ka talluq hai badam roghan aur zaitoon ke roghan ko bari ahmiyat hasil rahi hai. chehre aur badan par is ki malish taqat-o-tawanayi ki hamil hai. jild mein chamak aur nikhar paida karti hai.
dunya ki namwar haseen-o-jameel auraton ne roghan badam ko afzaish jamal ke liye istemaal kia ahi yahi wajah hai keh beauty clinics mein mikhtalif roghanyat ke sath roghan badam bhi kasrat se istemaal kia jata hai. roghan badam ke qadeem-o-jadeed formula mustamil hain is ke zareeye buhat se pechidah jamalyati masail hal kiye jate hain. Beautician chehre aur is ki jild ki jumlah jamalyati shikaiton ko dur karne ke liye darja zel formule pesh karte hain.
1-Chehre par acne nikalne hon, jild daghdar ho, chaiyan pari hon, jild khurduri ya hassas ho to is surat mein cosmetic ke istemaal se khatir khua nataij hasil karne mumkin nahi. Beautician aur physiotherapist yeh kehte hain keh jild ki satah ka kheyal rakhna ya ise banana sanwarna hi kafi nahi balkeh jild ki gehrayion tak puhanchna bara zaruri hai.

2-Agar chehre ki jild buhat khushk ho aur is masamat khule hon to rozanah sone se pehle chehre ko roghan badam se masaj kia karein.

3-Make up ko tar-o-taza aur chamak dar rakhne ke liye face gamer istemaal karein jab keh roghan badam oil se behtar koi qudarti glamour nahi hai.

4-Chehre par chaiyon ka paida hona aik aam shikayat hai. chaiyan jild ki dekh bhal hi se dur ho sakti hain agar chehre par roghan badam ki aksar malish ki jaye to yeh shikayat dur ho jaye gi.

4-Honton ki siyah rungut aur aankhon ke gird siyah halqe jism mein iron aur vitamin B ki kami ki alamaat mein desi vegetable aur fruits khayain jin mein vitamin aur iron ho. Badam roghan aankhon ke gird siyah halqon par laga kar fingers se masaj karein.

5-Garmi aur khushki ki wajah se agar chehre ki rungut mutasir hui ho to aap apni jild ki cleasing badam ki milish karein.

6-Chehre par barfile pani ke chinte marein towel se chehre khushk kar lein chehre par badam roghan ka masaj karein is ke baad koi stringent lagayain is se jild ki tonic ho jati hai.

7-Milk, eggs aur badam roghan baalon ki taqat dene ke liye behtareen cheez hai hafte mein do martabah eggs aur milk se baalon ko dhoyain aur rozanah raat ko badam roghan sar ko malein to baal girne band ho jate hain.


ACNE IN URDU MOST IMPORTANT FACT


Proper diet is not increasing trend among young skin damage is severe. Vitamins A in the diet help the skin's tissues for repair. Vitamin B increases blood circulation. Vitamins C and E sun protection from harmful effects.
Eat healthy and balanced diet; avoid excessive starch, sugar and fatty foods. An all fruit diet comprising three meals a day for a week, followed by raw foods and sprouts, three meals a day before resuming an all inclusive balanced meal can improve skin tremendously. A right amount of exercise such as walking; cycling or swimming can benefit any diet programme. A teaspoon of coriander juice mixed with a pinch of turmeric powder in an effective remedy to treat acne scars naturally. More detail read in bellow. Here is some beauty tips of acne in urdu.

Keel Muhase:

Pehle marhale mein baloghat ke aaghaz hi se yani larke, larkiyon mein 14 se le kar 20 saal tak ki umer mein keel muhase ka aaghaz hota hai, jab keh dusre marhale mein, 30 saal ki khawateen is ka shikar ho sakti hain. Is ki ahum wajah das saal baad khawateen mein hormone ki tabdili hai. Acne ko nazar andaz karne ke bajaye in ka ilaaj zaruri hai, jo kisi mahir-e-amraz jild hi se karwana chahiye aur totko waghairah se bachna chahiye. Mahireen kam se kam teen mah medicine istemaal karate hain jin se acne se mukammal nijat mil jati hai.


Jild ko Noqsan aur Fidah Puchane Wali Ghiza:

Na munasib ghiza aur nojawan larkiyon mein daiting ka barhta hua rujhan, jild ko sakht noqsan punchane ka bais banta hai. Khorak mein vitamin A, jild ke tissues ki marammat karta hai. Vitamin B, jild mein khoon ki gardish ka bahao behtar banata hai aur vitamin B3, rungut ki behtari ke liye zaruri hai. Biotin, zinc aur selenium ka durust istemal bhi chehre ki dil kasha aur ghane baalon ke liye nehayat ahum hai. vitamin C aur E, dhoop se hone wale muzir asrat se bachate hain aur jildi protein collagen aur Elastine ki moqdar mein izafah karte hain. Isi tarah kam chiknayi(fat) wala doodh, dahi sabziyan aur mosami phlon ka istemaal, khushk mewah jat (dry fruits) khane se bhi jild narm-o-molaim, shadab aur dil-kash hojati hai.
Sun Block ka Istemaal Jild ke Liye Mufeed Hai:

Sun block ka istemaal jild ki sehat ke liye nehayat mufeed hai behtar hoga keh ise zindagi ka lazmi hissah bana lia jaye aur koshish yahi honi chahiye keh sun block mahir amraz jild ka tajweez kardah ho. Sardiyon mein is ke elawa martoob aab-o-hawa wale elaqon mein jild isi tarah mutasir hoti hai, jaisa keh garmiyon mein shadeed dhoop se. Pahari aur khushk elaqon ke basiyon ko apni jild ka khas kheyal rakhna chahiye keh sardiyon mein un ki jild ziadah mutasir hoti hai. Mosam ke asrat ke elawah dusri ahum wajah yeh bhi hai keh is mosam mein pani kam pia jata hai, jab keh garam mashrubaat maslan tea, coffee ka istemaal ziadah hota hai. Yeh mashrubaat jism se pani ki moqdar kam kar dete hain, jis se jild khushk aur siyah parne lagti hai. Sardiyon mein agar mosami phalon, khas tor par kinu(orange), sangtarey aur strawberry ka istemaal barha dia jaye, to yeh jild ki sehat ke liye nihayat faidah mand hain, kiun keh yeh vitamin C aur pani ki bhari moqdar se labrez hote hain.

5, 6 Cream Mila kar Istemaal Karna Sehat key Liye Noqsan Dah Hai:

Aksar khawateen rung gora karne key liye 5,6 cream mila kar istemaal karti hain. Rung gora kerne ke liye ikhtiyar kia jane wala yeh tareeqah jis mein mercury ki ziadah moqdar hoti hai, jild ko patla kar deta hai, masamat ka khul jana, patli patli nason ka ubhar aana aur peep dar danon ka zahir hona, isi ke sabab hai. Yaad rakhein, ghair maiyari aur sasti creams ko mila kar istemaal karna, chehre ki sehat ke liye sakht noqsan dah hai. Is se bachna be had zaruri hai yeh agar aik bar chehre par daagh dhabbe par jayain to nishanat ka khatam hona mushkil hojata hai. Isi tarah nichli tah ka patla hona noqsan dah hai, kiun keh is se andaruni jildi protein tabah ho jate hain. Yaad rahe keh jild ki sehat-o-husn ke liye nichli jild ka mota ya sehat mand hona be had zaruri hai.


Beauty Tips In Urdu Part 2



Hair:

Aap ke sar ke baal agar ruche aur be rung hogaye hain to aap apne baalon ke liye mawafiq tail (oil) mein lemon ka arq milayain aur baalon par rozanah lagayain. Amuman khawateen baalon ko chamak dene ke liye tarah tarah ke shampoo istemaal karti hain, is se baalon ki jarein kam zor ho jati hain aur in ki chamak khatam ho sakti hai.

Teeth:

Agar aap ke daant aap ki lakh koshish ke bawajud chamak damak se mahroom rehte hain to is masle se nijaat ke liye bas aap ko lip stick ke intekhab mein kuch tabdili karni hai, halke rungon ki lip stick ke istemaal se danton ki maili rungat wazah nahi hogi, is ke moqable mein ghehri lip stick ya lip pancil aapke danton ko numaya karti hai.

Eye Laces:

Agar aap apni palkein bari karne ki khuwhish rakhti hain to is ke liye aik aasan tareeqa yeh hai keh raat ko sote waqt sarson ka tail(oil) palkon par lagayain is tarah aap ki palkein bari hoti jayingi aur masnuyi palkein lagane utarne ke jhanjhat se bhi chukara mil jaye ga.

Lips:

Lips agar black ho to khase badnuma mahsus hote hain aur aap ki shakhsiyat bhi is se mutasir hoti hai. lips ki siyahi dur karne ke liye har roz raat mein lips par zaafran lagayain aur panch minute baad thande pani se dholein. Chand dinon ki mehnat ke baad aap ke honton ki rungat gulabi ho jaye gi aur sardi mein aap ke hont khushki se bhi mehfuz rahein gay.

Care of Make Up Box:

Khobsurat aur dil kash banne ke liye aap nit naye tareeqe istemaal karti hain, har tarah ki ashya ka intekhab kia jata hai. lekin aksar khawateen is baat se be khabar rehti hain keh apne make up box ya bag ki safayi bhi zaruri hai balkeh besh tar khawateen to ise zaruri hi nahi samajhti. Hala keh make up box ya bag ki baqaidah safayi hafte mein aik martabah karni chahiye, kiun keh in ki tahon mein germs paida pate hain jo aap ki jild ko noqsaan puncha sakte hain. Behtar to yeh hoga keh aap plastic ke make up box ka intekhab karein kiun keh ise dhone mein bhi aasani rehti hai. In chand sada tareeqon se aap make up aur husn afza masnuaat se be neyaz ho jayein gi.

Beauty Tips in Urdu


Color and fragrance make sense of life. Stage of selection or display of clothing, color selection and coordination of legal personality is polishing. So we set up to choose the colors and the principle of balance should be taken into account. Make your choice in how this principle should be adopted the need to keep some things in mind.

Beauty Tips in Urdu:

Rung-o-khushbu hamein zindagi ka ahsaas dilate hain, fitrat ka husn in ki tarteeb aur tawazan se ebarat hai. lebas ka intekhab ho ya singhar ka marhalah, rungon ke intekhab aur in ke durust taal mein hisse shakhsiyat mein nikhar aata hai. isi liye make up mein rungon ka intekhab karte huye hamein tarteeb-o-tawazan ke asul ko pesh nazar rakhna chahiye. Make up ke intekhab mein bhi yeh asul rakhna chahiye. Make up ke intekhab mein bhi

yeh asul kis tarah apnaya jaye, is zaman mein kuch batein dheyan mein rakhan chahiye.


Hands:

Amuman khawateen ke hathon se in ki umer ka andazah ba khubi lagaya ja sakta hai. Agar hathon par gair maamuli tor par jhurriyan par jayain to khawateen khasi pareshan hoti hain. Apne hato ko khub surat banate ke liye aap kisi meyari cream ya lotion ka intekhab karein aur raat ko sone se pehle khub achi tarah lotion lagane ke baad ise kisi tissue paper se saaf karein, koshish yeh karein keh lotion ya cream aap ke hathon ki fingers mein jazb hojaye.
Nail: 

Jism mein iron ki kami ke bais nakhunon par sufaid daagh dhabbe par jate hain, jo bad numa dekhayi dete hain. Yeh koi bara maslah nahi. Yeh dhabbe dur karne ka aik aasan tareeqa yeh hai keh aap chand dinon ke liye apne nakhunon par lemon ka arq lagayain aur apne liye aisi khorak ka intekhab karein jo iron se bharpur ho. 

ALL TYPE OF SKINS

Kinds of Skin

There are three types of skin human being which are Oily skin, dry skin and natural skin. Oily skin is better than dry and natural skin. But has excess of oily skin that has created problems. Remove moisture from the skin then skin becomes dry. In winter the air becomes dry the skin to become dry. The extremely dry skin that is troubling. Skin is an important part of the body. Here you can find kinds of skin, care of skin tips in Urdu.

Skin in Urdu :

Jild ke bare mein amuman yeh tasur aam hai keh yeh jisam ki khaal hai jis ne pure jism ko dhanp rakha hai. be shak jild jism ka ahum hissah hai. hamare andaruni nizam ki hifazat ke liye qudrat ne ise is tarh ba-tor hifazati deewar design ki hai keh bahir ke infection ya germs andaruni aaza ko mutasir na kar sakein. Yeh hamein na sirf mukhtalif bacteria se bachati hai balkeh jism ke darjah hararat ko bhi etedaal par rakhti hai. Agar aisa na ho to sardiyon mein insane thand se yakh bastah aur

garmiyon mein jhulas kar rah jaye . Yahi jild degar afyaal ke elawa sans lene mein bhi madad gar hai. 

Jild ki aqsaam:
Insani jild teen aqsaam par mushtamail hai. chikni, khushk aur motwazan aur teenon hi khaas dekh bhal aur towajjah chahti hai.


Chikni jild:

yeh khushk aur motwazan ya makhloot jild se behtar hoti hai lekin had se ziadah chiknayi is jild mein kale dane, mail (durty), jhurriyan aur degar masail paida kardeti hai. Is jild ki sab se achi baat yeh hai keh dhoop aur hawa is par asar andaz nahi hoti. No umer larke larkiyan ki jild aam tor par chikni hoti hai aur inhein is ki safayi ka khaas kheyal rakhna chahiye. Is ki wajah yeh hai keh gard-o-ghubar chikni jild par jam jata hai. Agar is jild ki safayi ka khas kheyal na rakha jaye to mosamaat band ho sakte hain aur band hone ke baad kale daanon (Black Heads) ki surat, chehre aur badan par zahir ho kar bad numa bana sakte hain. Chikni jild ki hefazat ke liye aisi ashya, istemaal karne chahiye, jo jild ko khushk karne ki salahiyeat ki hamil hon, ya jin se jild mein khechao ya khushki paida ho. Maslan chikni jild wale logon ko roghanyat se monh haath dhone ke bajaye sabun aur pani se dhona chahiye. Daagh ho jayein to in ke khatme ke liye medicine aamez sabun istemaal karein, jo mahir-e- mualij jild ke masware se muntakhab kia jasakta hai. band masamat kholne ke liye bhap, khas tor par chikni jild ke liye behtareen elaaj hai.

Agar chikni jild ko tawazan ki halat mein lana hai, to ghiza mein bhi tabdili zaruri hogi. Khas tor par muraggan aur tale huye khanon se munh morna hoga aur sabz tarkariyon (sabziyon) ka istemaal barhana hoga. Kuch sabziyan maslan khira, kakri, carrot, muli, leman, aur tomato kachi surat mein khana be had faidah mand hai. dahi ka istemaal bhi behtareen hai, isi tarah khane , ghee ke bajaye cooking oil mein pakayain to behtar hoga.

Khushk jild:

Khushk jild se nami khatam ho jaye, to jild khushk hojati hai. sardiyon mein bhi faza mein khushki barh jati hai, jis se khushk jild wale be had mutasir hote hain, in ki jild jagah jagah se phat jati hai, jis ki wajah se hath, payon khas tor par, chehre bad numa dekhayi dene lagta hai. khusk jild ki hifazat ka ahum asul intehayi ahtiyat hai yaani jism mein jo bhi thori buhat chiknayi baaqi rah gayi hai ise zaya hone se bachana chahiye. Dekh bhal mein zara si bhi kotahi ka nateejah jild par daagh dhabon ki surat mein zahir ho sakta hai. khushk jild ko chiknayi bahum punchane ke liye din mein do teen bar aisi cream ya lotion lagayain jis mein chiknayi ki moqdar ziadah ho, isi tarah dhoop mein ghumne phirne se parheiz kia jaye. Pighle huye butter mein doodh mila kar lagane se bhi khushk jild mein narmi-o-molaimat layi ja sakti hai. khushk jild wali khawateen, make up karne se pehle jild mein nami lane ke liye koi acha arq istemaal kar sakti hain. Khushk jild ka aik faidah yeh bhi hai keh chehra keel, mahason se bacha rehta hai lekin jild ki munasib dekh bhal na ki jaye, to chera be ronaq aur rukha phika ho sakta hai.

Motwazan Jild:

Jild hamare jism ka ahum hissah hai is ki hifazat ka pehla asool to yahi hai keh ise kam se kam chera jaye aur is ki khas dekh bhal bhi ki jaye . Ache sabun aur lotion ka intekhab kia jate. Bazaar mein dasteyab ziadah tar sabun chemical aur khushbu wale ijza se bane hote hain, jo jild ki sehat ke liye kisi bhi tor faidah mand nahi. Sabun hamesha wo acha hai, jis mein chemical ke ijza, na hon ya nehayat kam hon, kiun keh aisa sabun jild ko noqsan nahi punchata. Jin khawateen ki jild khushk ho to inhain aisa sabun istemaal karna chahiye, jis mein glasreen ki moqdar ziadah ho takeh jild ko chiknayi mayassar aasake. Isi tarah, sabun ke jhag bana kar ziadah der tak malna nahi chahiye. Behtar tareeqah yeh hai keh sabun munh par laga lia aur halke hathon se cherah achi tarah pani se dho lia. Isi tarah sadah pani ke chinte munh par marne se jild ke niche ki rawani behtar hojati hai aur chehre par nikhar aata hai. Chehre ko kabhi bhi towel se ragar ragar kar saf nahi karna chahiye. Din bhar mein 5, 6 bar pani se munh hath dhone se qudari chiknayi zaya nahi hoti. Jo log pabandi se panch waqt ki namaz ada karte hain, to panch bar wazu karne se bhi in ki jild ki qudarati chiknayi bar-qarar rehti hai aur in ki jild saaf, shafaf aur nikhri rehti hai. aise logon ka cherah tar-o-taza hota hai aur chehre ka husn apni jagah alag hi dekhayi deta hai.

Homemade Conditioner for Hair

Here are ways to prepare homes conditioner. For normal hair, take egg white and egg yolk in a bowl, take 2 sp olive oil and 1sp vinegar and mix them. Leave the conditioner in your hair and wash your hair with shampoo. Be sure to use conditioner once a month.

Egg white or lemon juice is very useful for silky hair. It took 5 minutes to let your hair then wash with shampoo and water.

For dry hair, add egg yolk with 1 sp olive oil. Now these eggs mix thoroughly and use your head. Use it to wet hair and massage 5 minutes with your fingers. Then wash it with shampoo and water. The conditioner should be used only once a week. If you do not like the yolk then use yogurt.

Following is homemade conditioner for hair in urdu, desi totkay for hair, desi totkay in urdu, balon ke totke, conditioner for hair in india.
Normal Hair

Aam balon key liye aik bartan mein teen andon ki sufaidi aur zardi jama karein. Is mein do 2 tsp zaitoon ka tail (olive oil) shamil karein aur aik chamchah sirkah milayein.

Aap key liye la jawab conditioner taiyar hai.

Ab is conditioner ko apne balon mein laga kar chor dein. Is key baad shampoo se baal dho dalein. Is conditionaer ka istemaal mahine mein aik bar zaroor karein.
Silky Hair

Agar aap key baal silky hain to kisi bartan mein lemon nichor kar is ka arq jama karein aur is mein aik chamcha sirkah milalein. Bas aap key chikne balon key liye lajawab conditioner taiyar hai.

Ab balon ko shampoo karein aur jab aap key baal gile hon to yeh conditioner poore balon par istemaal kar lein. Is key baad fingers ki madad se sar mein khoob malish karein kam az kam panch minute tak. Is key baad tazah pani se sar ko dho dalein. Is conditioner ka istemaal hafte mein aik bar zaroor karne chahiye.

Chikne balon key liye sirf ande ki sufaidi ya lemon ka arq bhi buhat mufeed hai. Isi tarah panch minute tak gile balon mein laga kar fingers se malish karti rehein. Phir tazah pani se sar ko dho dalein.

Dry Hair

Ande ki zardi mein aik chamcha zaitoon ka tail shamil kar lein. Is key baad in donon ko khob achi tarah mila kar apne sar par istemaal karein. Is ko bhi apne gile balon par lagayein aur pach minute tak fingers ki madad se masaj karti rahein. Is key baad shampoo aur pani key zariye balon ko dho dalein. Is conditioners ka istemaal hafte mein sirf aik bar karna chahie. Agar aap ko balon mein ande ki zardi lagana pasand nahi hai to is ki jagah dahi istemaal kar sakti hain lekin dahi lagane key baad balon ko kam az kam do ghante key liye isi tarah rehne dein.