Wednesday, 10 April 2013

FACE MASK FOR FRESH SKIN


FACE MASK FOR FRESH SKIN



Airconditioning, fizai alodgi, dhunwa aur jadid tarz ka dabaw normal jild ko bhi tbahi ke dhane tak puhnchane ke ley kafi hota hai. Is se bachne ke ley ap ko apni jild ki hifazt karni pare gi. Agar ap rat ko dair tak jagti hain ya zehni dbaw ka shikar hain tu yeh ap ke sath ap ki jild ke ley bhi yaksan nuksan dah hai. Suzash wali chatakhne wali jild ke ley behtreen tanic khira, anjeer, aur alovaera hain. Yeh na siraf ap ki sochne samajhne ki salahiyat ko tawana karte hain balke ap ki jild ke ley bhi mufid hain.
Jab ap ki jild main tel ki saplai ko tehreek puhanchti hai tu chehre, seena aur peeth par mahase jaise dane niklna shuru ho jate hain. Dhop main phirne aur baz iqsam ke sabnon ke istemal se yeh surat haal mazeed pachida ho sakti hai. Aisi surat main foran apni jild ki muzuniyat ke hisab se koi face mask lgain.
Phiki aur rokhi jild ko chamak dar bnane ke ley ap ghar pe face mask bana sakti hain. Shehad, meda,araq gulab aur limon ko apas maim mila kar pest bana kar chehre pe mal lain aur sukh jane par khurach kar saf kar dain. Aik umda face mask multani mati aur araq gulab se banta hai. Yeh chehre ka gard o gubar saf kar deta hai aur chikni jild ke ley buhat mufeed hai. Aik aur mask cofee ke bijon ko pees kar is main taza cream milane se banta hai. Ise ap scrab ke tur par bhi istemal kar sakti hain. Ise kuhniyon, peeth aur ghotnon par bhi lagaya ja sakta hai.

No comments:

Post a Comment